Jab tak hai jaan

Jab tak hai jaan shayari

Teri aankhon ki namkeen mastiyaan,
Teri hansi ki be parwah gustaakhiyaan
Teri zulfon ki lehraati angdaaiyaan,
Nahin bhoolunga main
Jab tak hai jaan, Jab tak hai jaan

Tera haath se haath chodna,
Tera saayon ka rukh modna
Tera palat ke phir na dekhna,
Nahin maaf karunga main
Jab tak hai jaan, Jab tak hai jaan

Baarisho mein be dhadak tere naachne se
Baat baat par be wajah tere rootne se
Choti choti teri bachkani badmashiyon se
Mohabbat karuga mein
Jab tak hai jaan, Jab tak hai jaan

Tere jhoote kasmein waado se
Tere jalte sulagte khawaabo se
Teri be reham duaayon se
Nafrat karuga mein
Jab tak hai jaan, Jab tak hai jaan

——————————-Aditya Chopra & Gulzar

hindi shayari

bewafaa tere sang wafaa ki umid kar baithekya karein kya karein sanam hum to tumpe himar baitheek tum hi bache the kya duniya mein dil lagaane ke liye

tumne dil ko dhadakaaya, tumne dil ko tadpaayatumne badi bechaini di, fir bhi tumpe pyaar aayaek tum hi bache the kya, duniya mein dil lagaane ke liye

lamha lamha sanam, gujaara hain teri chaahat meintanaha tanaha raha ye dil, hum jiye tere hasrat mein